Ek Pagalkhane me ek Patrakar ne,
ek Doctor se puchha , ki aap kaise pahchante ho ki kaun Mansik Rogi hai aur kaun Mansik Rogi nahi hai ? ?
Doctor ne jawab diya , ki ham ek Washing Machine ko pura pani se bhar dete hain, uske bad sabhi ko ek Balti , ek Chammach aur ek Jug dekar bolte hain ki wo Pani ko machine se jaldi khali kare , chahe to wo koi bhi ek tool ka prayog kar sakte hain machine ko khali karne me .
Patrakar : Are wah ye to bahut hi achchha upay hai.
Yani jo Normal Vyakti hoga wo Balti ka upyog karega Pani nikalne ke liye , kyunki usme baki do tool ki apeksha adhik Pani ata hai .
Doctor: Nahi aisa bilkul bhi nahi h.
Normal Vyakti Machine me lage Drainage switch ko daba kar machine ko khali karta hai aur wo bhi turant minto me ,
Par filhal to aap bed no. 19 par jaiye taki ham aapki puri janch kar sake ki apko hua kya hai ? ?
Aur yadi aap bhi ye soch rahe the ki pani nikalne ke liye Balti upyukt tool hai to fir aap bed no. 20 pe jaiye ....
Comments
Post a Comment